The Heart Behind the Pickles

Grandma's love, tradition, and the art of pickle-making brought to your table.

Grandma making pickles

A Story of Love and Tradition

Main Rajasthan ke ek chhote shehar mein niwas karne wali ek sadharan mahila hoon. Main zyada padhi-likhi nahi hoon. Main bahut chhoti thi jab meri shaadi ho gayi thi aur main sanyukt parivar mein rehti thi. Meri sasu maa achaar banati thi, bahut hi accha aur swadisht achaar. Unke haath ke bane achaar ko pura mohalla khata tha, kyunki pehle sab log mil-jhul kar rehte the. Unko sab kuch apna sa lagta tha, aur paraya kuch nahi tha. Woh apne haath ka achaar bana kar padosiyon ko bhi deti thi. Pura mohalla unke haath ke achaar ka swaad leta tha.

Samay ke saath, woh budhi ho gayi. Unhone yeh achaar banana apni paanchon bahuon ko sikhaya. Maine bhi achaar banana seekha, aur mera bhi achaar ghar hi nahi, pure mohalla mein sabhi ko uska swaad pata tha. Mohalle mein bachche bade ho gaye, sab shahar se bahar chale gaye, magar woh sab achaar mujhse hi lekar jaaya karte the. Main achaar bechti nahi thi, par phir bhi sabhi achaar mujhse hi lete the, kyunki unhe ghar se door reh kar bhi ghar ke khane ka swaad uss achaar ko kha kar milta tha. Achaar kha kar unhe bahut sukoon milta tha.

Mere do bete hain. Aaj woh dono saath mein kaam karte hain. Ek din hum sab yahi baithhe the. Dono beto ne kaha, "Hum aapke haath ka achaar bechna chahte hain," toh maine mana kar diya. Phir ek din mere birthday par mere bachon ne mujhe mobile gift kiya. Mujhe mobile chalane ka shauk lag gaya. Mobile chalate chalate maine dekha ki log achaar bech kar lakho ki kamayi kar rahe hain. Maine un dono ko bula kar kaha ki main achaar ka kaam online karna chahti hoon. Woh to pehle se hi yeh chahte the ki maa ke haath ka swaad pure India ke ghar-ghar mein ho.

Tabhi maine online kaam karna shuru kiya. Ab mere haathon ka swaad pure India mein, ghar-ghar ke khane ka swaad banega. Meri sasu maa ke diye huye aashirvaad ne mujhe life mein acchi jagah par le aaya, aur main har uss aurat ko kehna chahti hoon ki apne haathon ke hunar ko ghar mein na rakhein, balki use apna passion bana lo.

“Jai Hind, Jai Rajasthan, aur mera Bikana!”

Taste Grandma’s Legacy Today!

Experience the authentic flavors crafted with love and tradition.

Explore Our Pickles

“Good pickles don’t just add flavor; they tell a story.” – Grandma

No PreservativesNo Preservative
Fast ShippingFast Shipping